Maa

Maa...

This piece is dedicated to all the Mothers who lost their children in d terrorist attack at a Pakistan school last year...

Maa... Tum fir bhul gayi muskurana..
Nind se uthkar muje aana pada..
Aree Maa... Vahi hu mai..tere paas hu mai..

Mere hisse ki rotiya Bhaiya k dibbe me daal dena...
Jab rotiya dibbe me vapas aaye..
Tab samaj lena..
Vahi hu mai..Tere paas hu mai..

 Chote se dibbe me padi imli ki goliya ginti rehna..
goliya jab kam ho jaaye tab dibba chupakar khud hi bhul jana..
fir jo dhundne me maza hai.. Bas ussi me hu mai maa... Tere paas hu mai Maa..

Thand me barf ka gola khaane par bhaiya ko daat dena.. ruthkar jab vo khana khane se mana kare..
Apne haatho se khila dena.. Tere chehre ki uss khushi me hu mai Maa.. tere paas hu mai Maa..

Aasu bahakar dophar ki nind mat khoya karo..
Mai naraaz ho jaunga..
Ek takiya apne bagal me rakhkar apne pyaare haato se sehla dena..
Maa..vahi hu mai..
Tere paas hu mai...

Teri hasi ki awaaz yaha tak jab aayegi...
Tab khushi se dosto k saath gilli danda khel paunga..
Tum sukoon se sona Maa..
tere sapno me cricketer bannke aaunga...

Maa.. Tum khush rahogi toh mai bhi yaha khush rahunga... Jab bhi yaad aye bas aakhe band karna..
Tumhaare duppate ko ek nanha saa haath khichega.. vahi hu mai Maa...tere paas hu mai Maa...

Comments

Popular posts from this blog

Crush

The Heart-Trick